socha nahi achcha bura
socha nahi achcha bura
dekha suna kuch bhi nahi
maanga khuda se raat din
tere siva kuch bhi nahi


dekha tujhe socha tujhe,
chaha tujhe puja tujhe
meri khata meri wafa,
teri khata kuch bhi nahi


jis par hamari aankh ne
moti bichaye raat bhar
bheja vahi kagaaz use,
humne likha kuch bhi nahi


ik sham ki dahleez par
baithey rahe voh der tak
aankhon se ki baatein bahut,
muh se kaha kuch bhi nahi


Pal pal beet ta hai ab saal ki tarah
kyon waqt thaher jata hai kabhi kabhi
******************************
Benaam sa yee dard, thehar kyon nahi jata
jo beet gaya hai, woh guzar kyon nahi Jata

sab kuch tu hai,kya dhundti rahti hain nigahe
kya baat hai main waqt pee ghar kyon nahi jata

woh eik hee chehra tu,nahi sare jahan mein
joo dur hai woh dil se utar kyon nahi jata

main apni hee uljehi howi raho ka tamasha
jate hain jidhar sab,main udhar kyon nahi jata

woh naam jo barso se,na chehra na badan hai
woh khuwaab agar hai tu bikhar kyon nahi jata...
Labels: edit post
1 Response
  1. Unknown Says:

    i just cant belive ki
    ye cute hug dekhake muje kitna acha laga


 

Text selection Lock by Hindi Blog Tips