
sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
sab se chupa kar dard jo woh muskura diya....
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya.....
lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan...
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya...
aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi...
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya....
jane kya us ko logon se thi shikayatein. ...
tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya...
khud bhi woh hum se bichar kar adhura sa ho gaya....
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya....
Deewana Sa Ho Gaya,
Jo Teri Yaad Aa Gai To Main Deewana Sa Ho Gaya,
Apno Mein Rah Kar Bhii Begana Sa Ho Gaya.
Jab Se Tere Khayalon Mein Khone Laga,
Apne Hii Shahar Mein Anjana Sa Ho Gaya.
Tere Chehre Kaa Deedar Kar Ke Main
Tere Husn Kii Shama Kaa Parwana Sa Ho Gaya.
Jis Par Naaz Tha Mujhe Khuda Se b Zyada,
Wo Mera Pyaar Aaj Afsana Sa Ho Gaya.
Teri Yaadon Ko Is Tarah Kaid Kiya Khud Mein,
Dil,Dil Nahii Raha Ekk Tah khana Sa Ho Gaya.
Jis Aashiyane Ko Sajaya Tha Humne Mahlon Kii Tarah,
Tum Bin Wahii Mera Ghar Aaj weraana Sa Ho Gaya
Na huaa kabhi kuch hasil mujhe guzara huaa ek saal hun
Aye zindagi tujhe kya kahu main khud hi ek sawal hun
Lashkar hun jo shikasht hun, sukhi huyi ek darakht hun
Baqee hai jo wo khawab hun dhundhla sa ek khyal hun
Dhalti huyi wo shaam hun bujhti huyi wo charagh hun
Ek dard jo na guzar saka muflisi ka wo ek malal hun
Woh chaman hun jo ujad gaya jahan bahar ab aati nahi
Murjhaya saa ek phool hun aur sukhi usi ki ek daal hun
Lahron ki wo sahil hun main jahan lahrein bhi aati nahi
Taalab wo nadi hun main aur samandar ka ek mishal hun
Na huaa kabhi hasil mujhe guzara huaa ek saal hun
Aye zindagi tujhe kya kahu main khud hi ek sawal hun
Yaad Aa_gayi
Kisi bewafaa ki khaatir ye janoon faraz kab tak
Jo tumhein bhula chuka hay use tum bhi bhool jao...
Is jahan mein kab kisi ka dard apnate hai log,
Rukh hawa ka dekh kar aksar badal jate hai log " ...
Lekar Haseen Shaam Teri Yaad Aagayi
Yeh Shaam Tere Naam, Teri Yaad Aa_gayi
Har Koi Jaanta Tha Mujhe Teri Naam Se
Poocha Kisii Ne Naam, Teri Yaad Aa_gayi
Milte Jahan-Jahan, Milkar Judaa Hua
Yaad Aaya Woh Makaam, Teri Yaad Aa_gayi
Jab Bhi Kisii Ghazal Ne Mohabbat Ke Saaz Par
Chedi Ghazal Payam, Teri Yaad Aa_gayi" ...:
Jab bhi tanha
Jab bhi tanha baithe hum
Khyal tera hi jahan me aaya
Ab is se badhkar wafa ki had kya hogi
Ki har zarre mein Maine aks tera paya
Jab kabhi chali baat teri e dost
Jabt aansu kar gaye hum lekin Dil ko rota paya
Kehte hai waqt har zakhm ko bhar deta hai lekin
Jane kyon maine apne zakhm ko har waqt hara paya
Tum toh chal diye chhod kar tanha mujhko lekin
Aankon ko har pal tere intezar mein bichha paya
Hai jo reet kaali ghataaown ki bersaat kiSafar,
hamsafar, door tak saath ki,Bas Vo lamhaat qismat sai mai bhi chura loon!
Shab nagein raat hai ya kai zulfein tumhaari
in ki chhaaown mai apna jeevan beeta loon!
Tumharey qurb ka ehsaas ho,
Har lamha tumharey saath ho
Tumharey laboon ki madhoshi main
Andheri raat ki khamoshi main,
Tum kaho tou tumhari bund aankhoon main
May khuwab apney rakh ker wafa sai saja loon!!
Mai saaqi hoon tum ho pemaana mera,
Shaghar_o_ meena tum ho, mehkhana mera
Tum kaho mai tumhein apney lab sai laga loon!
Tum kaho mai tumhein sirf apna bana loon..
Meri Zindagi, Meri Jaan-e-Jaan
Meri Zindagi, Meri Jaan-e-Jaan
Mujhe Le Chalo kabhi Us Jahan
Jahan Tu Hi Mera Naseeb Ho
Jahan Dil Se Tu hi Qareeb Ho
Jahan Gham Kabhi Na Aa Saken
Jahan Nafratein Na Sata Saken
Jahan Qurb Ho, Jahan Ho Khushi
Jahan Chahati Ho Hamein Zindagi
Jahan Dil Mera Na Udaas Ho
Jahan Her Jagah Teri Aas Ho
Meri Zindagi Meri Jaan-e-Jaa
Mujhay Lay Chalo kabhi Us Jahan


You could easily be making money online in the underground world of [URL=http://www.www.blackhatmoneymaker.com]blackhat cpa methods[/URL], It's not a big surprise if you don't know what blackhat is. Blackhat marketing uses alternative or misunderstood avenues to produce an income online.
top [url=http://www.c-online-casino.co.uk/]casino bonus[/url] coincide the latest [url=http://www.realcazinoz.com/]casino games[/url] free no deposit hand-out at the leading [url=http://www.baywatchcasino.com/]online casino
[/url].